KHak ko main KHwar kyun karta
duā-e-ḳhair se
duā-e-maġhfirat tak kā safar puurā huā
aur ab maiñ apnī qabr meñ huuñ
zarā hairat-zada huuñ
magar ye qabr itnī tañg bilkul bhī nahīñ hai
maiñ jaisī sochtā thā
mujhe bas itr aur kāfūr kī ḳhushbū pareshāñ kar rahī hai
aur kuchh had tak ye Dore aañkh ke
añdherā hai magar vo bhī nihāyat mehrbāñ
dil rakhne vaalā
bahut mānūs sā lagtā hai sab kuchh
kuchh aisā
jaise koī apnī maañ kī kokh meñ phir lauT aayā ho
vahāñ uupar bhī kuchh halchal hai ab tak
abhī tak log miTTī de rahe haiñ jism ko mere
ye āvāzeñ bhī aa.ī haiñ
barā-e-mehrbānī apne juute khol liije
ye miTTī qabr kī hai is kī hurmat ko samajhiye
afsurda ho gayā huuñ maiñ ye sun kar
agar ye baat maiñ ne zindagī meñ jaan lī hotī
ki bas sūrat badal lene se miTTī paak ho saktī hai merī
to apnī ḳhaak ko maiñ ḳhvār kyuuñ kartā
maiñ itnā zindagī se pyaar kyuuñ kartā
dua-e-KHair se
dua-e-maghfirat tak ka safar pura hua
aur ab main apni qabr mein hun
zara hairat-zada hun
magar ye qabr itni tang bilkul bhi nahin hai
main jaisi sochta tha
mujhe bas itr aur kafur ki KHushbu pareshan kar rahi hai
aur kuchh had tak ye Dore aankh ke
andhera hai magar wo bhi nihayat mehrban
dil rakhne wala
bahut manus sa lagta hai sab kuchh
kuchh aisa
jaise koi apni man ki kokh mein phir lauT aaya ho
wahan upar bhi kuchh halchal hai ab tak
abhi tak log miTTi de rahe hain jism ko mere
ye aawazen bhi aai hain
bara-e-mehrbani apne jute khol lije
ye miTTi qabr ki hai is ki hurmat ko samajhiye
afsurda ho gaya hun main ye sun kar
agar ye baat main ne zindagi mein jaan li hoti
ki bas surat badal lene se miTTi pak ho sakti hai meri
to apni KHak ko main KHwar kyun karta
main itna zindagi se pyar kyun karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.