KHaka
maiñ musavvir huuñ
par tujh se nādim huuñ maiñ
ki tire tujh se ḳhāke banāne kī maiñ
ab talak ye ikkāvanvīñ koshish bhī puurī nahīñ kar sakā huuñ
ye merī mohabbat kā gahrā ta.assub bhī ho saktā hai
par ye āfāqiyat kā.enātī mohabbat kā radd-e-amal hai
ki ḳhākoñ meñ maiñ terī āñkhoñ pe sāloñ se aTkā huā huuñ
ajab ek uljhan hai
āñkheñ banā.ūñ yā rahne hī duuñ
tere ḳhāke meñ maiñ tere chehre ke azlāt ko khīñch kar
vo tirā ik tabassum banāne kī koshish ko puurā agar kar bhī luuñ
par jo tujh meñ zamānoñ kī tahzīb kī ik kahānī bunī hai
tire lā-shu.ūrī ravayyoñ meñ arboñ baras ke hasīñ irtiqā kā
vo jo ik fasāna
D n a kī bases meñ tartīb pā kar
tujhe to banātā hai vo ik fasāna
vo ḳhākoñ meñ āḳhir ko kaise sunā.ūñ
ai vaj.h-e-suḳhan
jān-o-rang-e-ġhazal
kā.enātī mohabbat kā radd-e-amal
ai udāsī ke hone meñ vāhid ḳhalal
tujh se nādim huuñ maiñ
mere vahm-o-gumāñ meñ qalam meñ mire aur qirtās meñ
terā honā musalsal nahīñ ho rahā
merī bāvanv.īn koshish meñ bhī ab talak
terā ḳhāka mukammal nahīñ ho rahā
main musawwir hun
par tujh se nadim hun main
ki tere tujh se KHake banane ki main
ab talak ye ikkawanwin koshish bhi puri nahin kar saka hun
ye meri mohabbat ka gahra tassub bhi ho sakta hai
par ye aafaqiyat kaenati mohabbat ka radd-e-amal hai
ki KHakon mein main teri aankhon pe salon se aTka hua hun
ajab ek uljhan hai
aankhen banaun ya rahne hi dun
tere KHake mein main tere chehre ke azlat ko khinch kar
wo tera ek tabassum banane ki koshish ko pura agar kar bhi lun
par jo tujh mein zamanon ki tahzib ki ek kahani buni hai
tere la-shuuri rawayyon mein arbon baras ke hasin irtiqa ka
wo jo ek fasana
D n a ki bases mein tartib pa kar
tujhe to banata hai wo ek fasana
wo KHakon mein aaKHir ko kaise sunaun
ai wajh-e-suKHan
jaan-o-rang-e-ghazal
kaenati mohabbat ka radd-e-amal
ai udasi ke hone mein wahid KHalal
tujh se nadim hun main
mere wahm-o-guman mein qalam mein mere aur qirtas mein
tera hona musalsal nahin ho raha
meri bawanwin koshish mein bhi ab talak
tera KHaka mukammal nahin ho raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.