KHakam-ba-dahan
maiñ āzim-e-mai-ḳhānā thī kal raat ki dekhā
ik kūcha-e-pur-shor meñ as.hāb-e-tarīqat
the dast o girebāñ
ḳhākam-ba-dahan pech amāmoñ ke khule the
fatvoñ kī vo bochhāḌ ki tabqāt the larzāñ
dastān-e-mubārak meñ thiiñ rīshān-e-mubārak
mū-hā-e-mubārak the fazāoñ meñ pareshāñ
kahte the vo bāham ki harīfān-e-siyah-rū
kuffār haiñ bad-ḳhū
zindīq haiñ mal.ūn haiñ bante haiñ musalmāñ
hātif ne kahā ro ke ki ai rab-e-samāvāt!
lā-raib sarāsar haiñ bajā donoñ ke fatvāt
ḳhilqat hai bahut un ke azāboñ se hirāsāñ
ab un kī hoñ amvāt!
main aazim-e-mai-KHana thi kal raat ki dekha
ek kucha-e-pur-shor mein ashab-e-tariqat
the dast o gireban
KHakam-ba-dahan pech amamon ke khule the
fatwon ki wo bochhaD ki tabqat the larzan
dastan-e-mubarak mein thin rishan-e-mubarak
mu-ha-e-mubarak the fazaon mein pareshan
kahte the wo baham ki harifan-e-siyah-ru
kuffar hain bad-KHu
zindiq hain malun hain bante hain musalman
hatif ne kaha ro ke ki ai rab-e-samawat!
la-raib sarasar hain baja donon ke fatwat
KHilqat hai bahut un ke azabon se hirasan
ab un ki hon amwat!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.