KHake
(sachche logoñ ke naam)
ajiib maañ ho
tum apne bachchoñ ko mārtī ho
to is ḳhatā par
ki vo hukūmat kī vahshatoñ ke ḳhilāf nikle
julūs ke saath jā rahe the
tum ab pareshān ho rahī ho
maiñ aane vaalī ghaḌī ke baare meñ sochtā huuñ
jab ek mausam ka.ī ka.ī saal tak rahegā
tum apne hāthoñ se mire shāne hilā hilā kar kahogī
bāhar nikal ke un kāfiroñ ko roko
jo apne jismoñ meñ andhā hījān bhar ke
saḌkoñ pe chīḳhte haiñ
rabb-e-mausam
july sar pe hai aur kohrā
hamāre jismoñ meñ
aur fasloñ ke roñgToñ meñ utar rahā hai
hameñ july meñ january kī fazā.eñ manzūr kis tarah hoñ
hamāre zehnoñ meñ
rut kī tabdīliyoñ ke ḳhāke bane hue haiñ
ab tum pareshān ho rahī ho
maiñ guzre vaqtoñ kī āhaTeñ sun rahā huuñ
jab maiñ ne ye kahā thā
ki bachche tum pe ga.e to ārām se raheñge
magar jo varse meñ merī socheñ mileñ
to vaada karo ye shikva nahīñ karogī
ki mere bachche
jinheñ ka.ī maah maiñ ne apnā lahū diyā thā
vo us lahū ko
ujaaḌ saḌkoñ ke muñh pe malne pe tul ga.e haiñ
(sachche logon ke nam)
ajib man ho
tum apne bachchon ko marti ho
to is KHata par
ki wo hukumat ki wahshaton ke KHilaf nikle
julus ke sath ja rahe the
tum ab pareshan ho rahi ho
main aane wali ghaDi ke bare mein sochta hun
jab ek mausam kai kai sal tak rahega
tum apne hathon se mere shane hila hila kar kahogi
bahar nikal ke un kafiron ko roko
jo apne jismon mein andha hijaan bhar ke
saDkon pe chiKHte hain
rabb-e-mausam
july sar pe hai aur kohra
hamare jismon mein
aur faslon ke rongTon mein utar raha hai
hamein july mein january ki fazaen manzur kis tarah hon
hamare zehnon mein
rut ki tabdiliyon ke KHake bane hue hain
ab tum pareshan ho rahi ho
main guzre waqton ki aahaTen sun raha hun
jab main ne ye kaha tha
ki bachche tum pe gae to aaram se rahenge
magar jo warse mein meri sochen milen
to wada karo ye shikwa nahin karogi
ki mere bachche
jinhen kai mah main ne apna lahu diya tha
wo us lahu ko
ujaD saDkon ke munh pe malne pe tul gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.