Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Khaala ki murghi

Ameen Hazin

Khaala ki murghi

Ameen Hazin

MORE BYAmeen Hazin

    ḳhāla ne ik murġhī paalī

    kahīñ safed aur kahīñ hai kaalī

    din bhar kaT kaT kartī hai vo

    daanā Dañkā chugtī hai vo

    anDe bhī detī rahtī hai

    lekin abhī vo kuḌak huī hai

    ḳhāla ne kuchh anDe jamā.e

    in par is murġhī ko biThā.e

    din bhar vo anDe setī hai

    anDoñ se tab chūze nikle

    chhoTe chhoTe nanhe nanhe

    ravī ke gāloñ ke jaise

    murġhī jidhar jidhar bhī nikle

    chūze pīchhe pīchhe dauḌe

    ḳhālū ḳhush the dekh ke chūze

    ḳhush ho kar ḳhāla se bole

    chūze anDoñ se kab nikle

    murġhī baiThī kitne dinoñ se

    ḳhāla bolī biis aur ik din

    maiñ ne shumār kiye haiñ gin gin

    ḳhālū bole ab to begam

    kal se anDe sete haiñ ham

    kal meñ anDe rakh dete haiñ

    ghanToñ meñ chūze bante haiñ

    ye sun kar ḳhāla ne bhaa.ī

    dāñtoñ meñ bas uñglī dabā.ī

    KHala ne ek murghi pali

    kahin safed aur kahin hai kali

    din bhar kaT kaT karti hai wo

    dana Danka chugti hai wo

    anDe bhi deti rahti hai

    lekin abhi wo kuDak hui hai

    KHala ne kuchh anDe jamae

    in par is murghi ko biThae

    din bhar wo anDe seti hai

    anDon se tab chuze nikle

    chhoTe chhoTe nanhe nanhe

    rawi ke galon ke jaise

    murghi jidhar jidhar bhi nikle

    chuze pichhe pichhe dauDe

    KHalu KHush the dekh ke chuze

    KHush ho kar KHala se bole

    chuze anDon se kab nikle

    murghi baiThi kitne dinon se

    KHala boli bis aur ek din

    main ne shumar kiye hain gin gin

    KHalu bole ab to begam

    kal se anDe sete hain hum

    kal mein anDe rakh dete hain

    ghanTon mein chuze bante hain

    ye sun kar KHala ne bhai

    danton mein bas ungli dabai

    Source :
    • Book : kulliyat-e-Ameen-E-Hazeen (Pg. 62)
    • Author : Ameen Hazin
    • Publication : Sani Publication 390,Nana Peth,Pune-2 (2005)
    • Edition : 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now