Khaali aaankhon ka makan
ḳhālī ā.ankhoñ kā makān mahñgā hai
mujhe miTTī kī lakīr ban jaane do
ḳhudā bahut se insān banānā bhuul gayā hai
merī sunsān ā.ankhoñ meñ aahaT rahne do
aag kā zā.iqa charāġh hai
aur niiñd kā zā.iqa insān
mujhe pattharoñ jitnā kas do
ki merī be-zabānī mash.hūr na ho
maiñ ḳhudā kī zabān muñh meñ rakhe
kabhī phuul ban jaatī huuñ aur kabhī kāñTā
zanjīroñ kī rihā.ī do
ki insān in se zyāda qaid hai
mujhe tanhā marnā hai
so ye āñkheñ ye dil
kisī ḳhālī insān ko de denā
KHali aaankhon ka makan mahnga hai
mujhe miTTi ki lakir ban jaane do
KHuda bahut se insan banana bhul gaya hai
meri sunsan aaankhon mein aahaT rahne do
aag ka zaiqa charagh hai
aur nind ka zaiqa insan
mujhe pattharon jitna kas do
ki meri be-zabani mashhur na ho
main KHuda ki zaban munh mein rakhe
kabhi phul ban jati hun aur kabhi kanTa
zanjiron ki rihai do
ki insan in se zyaada qaid hai
mujhe tanha marna hai
so ye aankhen ye dil
kisi KHali insan ko de dena
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 154)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.