Khaali bench
ek vaqt aisā aa.egā
ki maiñ
ye sab bhuul jā.ūñgī
us vaqt kī sangīnī bhī
jis meñ merā dil
ek gāḌhe dukh se bhar gayā thā
aur maiñ
us safed bench kī tarah rah jā.ūñgī
jo ḳhālī paḌī hai
is irāde se ki maiñ
us par baiThūñ
aur aage dekhūñ
aage jahāñ paanī ke qatre
ḳhaam maal kī tarah paḌe haiñ
havā kā libās banñe ke liye
ek waqt aisa aaega
ki main
ye sab bhul jaungi
us waqt ki sangini bhi
jis mein mera dil
ek gaDhe dukh se bhar gaya tha
aur main
us safed bench ki tarah rah jaungi
jo KHali paDi hai
is irade se ki main
us par baiThun
aur aage dekhun
aage jahan pani ke qatre
KHam mal ki tarah paDe hain
hawa ka libas banne ke liye
- Book : hairat ke us paar (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.