Khaali gullak
aao izza suno kahānī
jab bachchī thiiñ
tumhārī naanī
un kī hathelī par chhoTā sā chamaktā sikka
rakhte the in.aam meñ abbā
jhaT se aa kar muTThī band kiyā kartī thiiñ ammī
miTTī kī gullak bhayyā le kar aate the
chhan-chhan karte bahut se sikke
gullak meñ bharte jaate the
baajī uThā kar vazn batā tiiñ
dil ḳhushiyoñ se pāgal hotā
kyā karnā hai in paisoñ se
samajh na aatā
phir ammī ne ye sikhlāyā
sab se achchhī dost tumhārī
ban ke raheñgī kitābeñ saarī
in paisoñ se vahī ḳharīdo
ammī bhayyā baajī abbā
jab na hoñge paas tumhāre
kabhī udaas aur tanhā jab ho
inhīñ kitāboñ meñ phir tum ko
saare rishte mil jā.eñge
haath pakaḌ kar un kā chalnā
gum kabhī tum ko na hone deñgī
in se dukh-sukh kahnā sunñā
rāsta tum ko batlā.eñgī
jab ho chāroñ taraf añdherā
raushnī tum ko dikhlā.eñgī
pyaar se in ko saiñt ke rakhnā
ye hī hoñgī sachchī sāthī
harf harf se lafz banātī
tumhārī fikr kī ḳhālī gullak
khan-khan kar ke bhartī rahegī
aisā ḳhazāna atā karegī
kabhī kisī kī Thokar se tum
bikhar sako na TuuT sakogī
balki aisī gullak
ban jāogī
jitnā bāñTo utnā bharogī
aao izza suno kahani
jab bachchi thin
tumhaari nani
un ki hatheli par chhoTa sa chamakta sikka
rakhte the inam mein abba
jhaT se aa kar muTThi band kiya karti thin ammi
miTTi ki gullak bhayya le kar aate the
chhan-chhan karte bahut se sikke
gullak mein bharte jate the
baji uTha kar wazn bata tin
dil KHushiyon se pagal hota
kya karna hai in paison se
samajh na aata
phir ammi ne ye sikhlaya
sab se achchhi dost tumhaari
ban ke rahengi kitaben sari
in paison se wahi KHarido
ammi bhayya baji abba
jab na honge pas tumhaare
kabhi udas aur tanha jab ho
inhin kitabon mein phir tum ko
sare rishte mil jaenge
hath pakaD kar un ka chalna
gum kabhi tum ko na hone dengi
in se dukh-sukh kahna sunna
rasta tum ko batlaengi
jab ho chaaron taraf andhera
raushni tum ko dikhlaengi
pyar se in ko saint ke rakhna
ye hi hongi sachchi sathi
harf harf se lafz banati
tumhaari fikr ki KHali gullak
khan-khan kar ke bharti rahegi
aisa KHazana ata karegi
kabhi kisi ki Thokar se tum
bikhar sako na TuT sakogi
balki aisi gullak
ban jaogi
jitna banTo utna bharogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.