Khaali makan
jaale tane hue haiñ ghar meñ koī nahīñ
''koī nahīñ'' ik ik konā chillātā hai
dīvāreñ uTh kar kahtī haiñ ''koī nahīñ''
''koī nahīñ'' darvāza shor machātā hai
koī nahīñ is ghar meñ koī nahīñ lekin
koī mujhe is ghar meñ roz bulātā hai
roz yahāñ maiñ aatā huuñ har roz koī
mere kaan meñ chupke se kah jaatā hai
''koī nahīñ is ghar meñ koī nahīñ pagle
kis se milne roz yahāñ tū aatā hai''
jale tane hue hain ghar mein koi nahin
koi nahin ek ek kona chillata hai
diwaren uTh kar kahti hain koi nahin
koi nahin darwaza shor machata hai
koi nahin is ghar mein koi nahin lekin
koi mujhe is ghar mein roz bulata hai
roz yahan main aata hun har roz koi
mere kan mein chupke se kah jata hai
koi nahin is ghar mein koi nahin pagle
kis se milne roz yahan tu aata hai
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 134)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.