Khaali makan mein ek dua
shāyad itnā bujhā huā yā
itnā be-ḳhud
be-āzād
jaise sat.h-e-āb pe Thahrā pattā koī
sākit jāmid be-raftār
yā be-dar be-dīvār
mujh ko
us vīrān khañDar meñ chakrāte aaseb se koī ḳhauf nahīñ
āñgan meñ amrūd ke nīche leTā tanhā ḳhālī chup
manzar pas-e-manzar meñ gaDmaD hotā maiñ
pīpal se Takrā ke palaTtī sar ko paTaktī andhā-dhuñd hai hamla-āvar
merī pyārī dost havā
muñh zor havā
ehsās dilātī hai mujh ko
mere tan meñ man meñ jitnā sannāTā hai
us meñ to das das ākāsh guzāra kar sakte haiñ
mālik-o-maulā
āvāra sab rang hue merī āñkhoñ ke
dukh kī yādeñ ḳhvāboñ kā ruḳh moḌ chukī haiñ
maiñ kis dil se tan ke bhītar dhuup nihārūñ
bādal ke armān sajā.ūñ
aur sunahrī sabz gulābī dhānī khiḌkī
mujh meñ na khol
mere man ke andar jitnī dhund hai maulā
us ko hī kar de anmol
shayad itna bujha hua ya
itna be-KHud
be-azad
jaise sath-e-ab pe Thahra patta koi
sakit jamid be-raftar
ya be-dar be-diwar
mujh ko
us viran khanDar mein chakraate aaseb se koi KHauf nahin
aangan mein amrud ke niche leTa tanha KHali chup
manzar pas-e-manzar mein gaDmaD hota main
pipal se Takra ke palaTti sar ko paTakti andha-dhund hai hamla-awar
meri pyari dost hawa
munh zor hawa
ehsas dilati hai mujh ko
mere tan mein man mein jitna sannaTa hai
us mein to das das aakash guzara kar sakte hain
malik-o-maula
aawara sab rang hue meri aankhon ke
dukh ki yaaden KHwabon ka ruKH moD chuki hain
main kis dil se tan ke bhitar dhup nihaarun
baadal ke arman sajaun
aur sunahri sabz gulabi dhani khiDki
mujh mein na khol
mere man ke andar jitni dhund hai maula
us ko hi kar de anmol
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.