Khaali-pan
āshnā.ī ga.ī
dilrubā.ī ga.ī
sahl lagtī thiiñ jo manzileñ kho ga.iiñ
shām-e-be-kaif meñ Dhal ga.ī aarzū
zehn kī khiḌkiyoñ se nahīñ jhāñktā
ab koī māhtāb
ab koī shab ga.e
merī sochoñ ko sahlāne aatā nahīñ
ab koī manzar-e-shādmāñ
dil lubhātā nahīñ
ab koī lams ban kar
mirī ruuh meñ sarsarātā nahīñ
aashnai gai
dilrubai gai
sahl lagti thin jo manzilen kho gain
sham-e-be-kaif mein Dhal gai aarzu
zehn ki khiDkiyon se nahin jhankta
ab koi mahtab
ab koi shab gae
meri sochon ko sahlane aata nahin
ab koi manzar-e-shadman
dil lubhata nahin
ab koi lams ban kar
meri ruh mein sarsaraata nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.