KHamoshi aawaz karegi
phir yuuñ hogā
zard laboñ par
jam jā.eñge lafz
ye sāñseñ
tham jā.eñgī
pathrā.ī āñkhoñ meñ koī ḳhvāb na hogā
aur mire be-jān badan ko
dhartī apnī god meñ chupke se rakh legī
maiñ na rahūñgā
sirf ḳhamoshī rah jā.egī
lekin mere giit havā.eñ yaad rakheñgī
mere qadmoñ kī aahaT
hoñToñ kī jumbish
lams in hāthoñ kā zarre mahsūs kareñge
Dhaltī shab meñ
phūloñ par jab shabnam kī būñdeñ Tapkeñgī
shāḳh-e-gul jhuk kar kaliyoñ kā bosa legī
pattoñ meñ sargoshī hogī
nāzuk ThanDī ghaas ko chhū kar
mast havā jab bahtī hogī
ḳhāmoshī āvāz karegī
phir yun hoga
zard labon par
jam jaenge lafz
ye sansen
tham jaengi
pathrai aankhon mein koi KHwab na hoga
aur mere be-jaan badan ko
dharti apni god mein chupke se rakh legi
main na rahunga
sirf KHamoshi rah jaegi
lekin mere git hawaen yaad rakhengi
mere qadmon ki aahaT
honTon ki jumbish
lams in hathon ka zarre mahsus karenge
Dhalti shab mein
phulon par jab shabnam ki bunden Tapkengi
shaKH-e-gul jhuk kar kaliyon ka bosa legi
patton mein sargoshi hogi
nazuk ThanDi ghas ko chhu kar
mast hawa jab bahti hogi
KHamoshi aawaz karegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.