KHamoshi ka shahr
havā dhund ke phaile lab chūmtī hai
kahāñ zindagī hai?
kahāñ zindagī ke nishāñ haiñ ki tum shahr meñ ho
jahāñ ek hī ruup hai jo hamesha rahegā
uTho bāvle ab tumheñ kis tamannā ne manzil kā dhokā diyā hai
ki tum saañs kī oT meñ chup khaḌe sochte ho
yahāñ har nafas be-sadā hai
yahāñ har ghaḌī ab sisaktī sī zanjīr
har ik vafā tīrgī kā sutūñ hai
chalo ḳhvāhisheñ DhūñDne
ban-sañvar ke chalo ḳhvāhisheñ DhūñDnī haiñ
nahīñ to yahī ḳhāmushī bhuut ban kar
gharoñ ke kivāḌoñ ke pīchhe hamesha Darātī rahegī
hawa dhund ke phaile lab chumti hai
kahan zindagi hai?
kahan zindagi ke nishan hain ki tum shahr mein ho
jahan ek hi rup hai jo hamesha rahega
uTho bawle ab tumhein kis tamanna ne manzil ka dhoka diya hai
ki tum sans ki oT mein chup khaDe sochte ho
yahan har nafas be-sada hai
yahan har ghaDi ab sisakti si zanjir
har ek wafa tirgi ka sutun hai
chalo KHwahishen DhunDne
ban-sanwar ke chalo KHwahishen DhunDni hain
nahin to yahi KHamushi bhut ban kar
gharon ke kiwaDon ke pichhe hamesha Daraati rahegi
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 221)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.