KHamoshi ka shor
bādaloñ ke ḳhuun se chipkī huī is shaam meñ
uḌ rahe the
kuchh parinde
laḌkhaḌātī āhaToñ ke
kārvāñ ke saath meñ
shahr gardī meñ rahā
ghar kā rasta yaad aatā hī na thā
kis qadar maiñ Dar gayā thā
niiñd kī ḳhāmoshiyoñ ke shor se
baadalon ke KHun se chipki hui is sham mein
uD rahe the
kuchh parinde
laDkhaDati aahaTon ke
karwan ke sath mein
shahr gardi mein raha
ghar ka rasta yaad aata hi na tha
kis qadar main Dar gaya tha
nind ki KHamoshiyon ke shor se
- Book : Kisi Hairan Saat Mein (Pg. 20)
- Author : Faisal Hashmi
- Publication : Kaghadhi Paerahen (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.