KHamoshi ke nam
ham ki guftār ke tājir haiñ jamāl-e-ḳhamosh
hurmat-e-lafz se āgāh nahīñ
baat karne ko hunar jānte haiñ
bolte bolte thakte hī nahīñ
jab takallum ke tasalsul se tahī hote haiñ
to lagtā hai ki hai
is ghaḌī tasht-e-zabānī ḳhālī
ho gayā ḳhvān-e-ma.ānī ḳhālī
aise aalam meñ hameñ
terī ḳhāmoshī-e-ḳhush-rañg kashish kartī hai
terā sannāTā hameñ terī taraf laatā hai
hum ki guftar ke tajir hain jamal-e-KHamosh
hurmat-e-lafz se aagah nahin
baat karne ko hunar jaante hain
bolte bolte thakte hi nahin
jab takallum ke tasalsul se tahi hote hain
to lagta hai ki hai
is ghaDi tasht-e-zabani KHali
ho gaya KHwan-e-maani KHali
aise aalam mein hamein
teri KHamoshi-e-KHush-rang kashish karti hai
tera sannaTa hamein teri taraf lata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.