KHamoshi
sab kuchh badal rahā hai
siine meñ kuchh jal rahā hai
ab Dagmagā rahā hai irāda
aur maiñ ḳhāmosh huuñ
mujh se ziyāda bechainī zamāne meñ machī hai
āḳhir ye na.ī rivāyateñ kis ne rachī haiñ
hāzir hai zamīr ke sāmne
halchal se kuchh ziyāda,
aur maiñ ḳhāmosh huuñ
rishte darak rahe haiñ
ḳhud-ġharzī ke naag sarak rahe haiñ
dekheñ maiñ Dasā jaatā huuñ kab
filhāl maiñ ḳhāmosh huuñ
bhuuk se pahle maz.hab
dushvār hai guzāra ab
andar kā jvālā-mukhī phūTegā kab
abhī tak to maiñ ḳhāmosh huuñ
sab kuchh badal raha hai
sine mein kuchh jal raha hai
ab Dagmaga raha hai irada
aur main KHamosh hun
mujh se ziyaada bechaini zamane mein machi hai
aaKHir ye nai riwayaten kis ne rachi hain
hazir hai zamir ke samne
halchal se kuchh ziyaada,
aur main KHamosh hun
rishte darak rahe hain
KHud-gharzi ke nag sarak rahe hain
dekhen main Dasa jata hun kab
filhaal main KHamosh hun
bhuk se pahle mazhab
dushwar hai guzara ab
andar ka jwala-mukhi phuTega kab
abhi tak to main KHamosh hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.