KHamoshi
ye un dinoñ kī baat hai
jab mere zehn kī galiyoñ meñ
ek āshiq
ek bachche kī uñglī pakaḌ kar
tilismī gharoñ ko hasrat se dekhtā
kuchh guloñ kī ḳhāmoshī
aur us ḳhāmoshī kī saa.eñ saa.eñ
kaan ke pardoñ se guzar kar
naaf meñ utar jaayā kartī
tab āḳhirī moḌ par
vo būḌhā mil jaatā
jis kī āñkhoñ meñ
zindagī se pīchhā chhuḌā lene vaalī hasrat
bachche kā dāman pakaḌ letī
aur āshiq
ghuTnoñ ke bal baiTh kar
bhal bhal rone lagtā
ye un dinon ki baat hai
jab mere zehn ki galiyon mein
ek aashiq
ek bachche ki ungli pakaD kar
tilismi gharon ko hasrat se dekhta
kuchh gulon ki KHamoshi
aur us KHamoshi ki saen saen
kan ke pardon se guzar kar
naf mein utar jaya karti
tab aaKHiri moD par
wo buDha mil jata
jis ki aankhon mein
zindagi se pichha chhuDa lene wali hasrat
bachche ka daman pakaD leti
aur aashiq
ghuTnon ke bal baiTh kar
bhal bhal rone lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.