KHamushi
ḳhizāñ kī dastak
dhund meñ lipTe raste
sard havā ke thapeḌoñ se
nabard-āzmā haiñ
alaav ke paas
shaal oḌhe
kāġhaz ke TukḌoñ meñ
matā-e-hayāt jalātī huī laḌkī
dāstān-e-dil sunāte hue
āñsūoñ ke chand qatre gire
aag sisak uThī
sannāTe kī dahshat
kisī tūfāñ kā pesh-ḳhema ho saktī hai
Tik Tik Tik
ghaḌī kī kuuk sunte
samā.ateñ saath chhoḌne lagīñ
manzar dhuñdlā ga.e
vajūd ke sahrā meñ
ret uḌne lagī
aur ḳhāmushī
us ke laboñ pe jā kar so ga.ī
KHizan ki dastak
dhund mein lipTe raste
sard hawa ke thapeDon se
nabard-azma hain
alaw ke pas
shaal oDhe
kaghaz ke TukDon mein
mata-e-hayat jalati hui laDki
dastan-e-dil sunate hue
aansuon ke chand qatre gire
aag sisak uThi
sannaTe ki dahshat
kisi tufan ka pesh-KHema ho sakti hai
Tik Tik Tik
ghaDi ki kuk sunte
samaaten sath chhoDne lagin
manzar dhundla gae
wajud ke sahra mein
ret uDne lagi
aur KHamushi
us ke labon pe ja kar so gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.