KHamushi ki aadat Dal lo
ḳhāmushī kī aadat Daal lo
sukūn mil jā.egā
be-āvāz ḳhāmushī
ek baar
alfāz ko toḌ do
ma.anoñ ke karb se
najāt mil jā.egī
saarī jangeñ
aap hī aap ruk jā.eñgī
merā alamiya ye hai
maiñ ne alfāz ko
āḳhirī sachchā.ī jaanā thā
merī āñkhoñ se ab
būñdeñ harf harf Tapaktī haiñ
KHamushi ki aadat Dal lo
sukun mil jaega
be-awaz KHamushi
ek bar
alfaz ko toD do
manon ke karb se
najat mil jaegi
sari jangen
aap hi aap ruk jaengi
mera alamiya ye hai
main ne alfaz ko
aaKHiri sachchai jaana tha
meri aankhon se ab
bunden harf harf Tapakti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.