KHamushi ki zaban
vo jo aise savāl hote haiñ
un ke kyā javāb hote haiñ
vo jo ḳhushbū meñ baste haiñ
aur phūloñ meñ hañste haiñ
jin kā suḳhan saada hotā hai
aur harf taaza hotā hai
ik mānūs sī ḳhāmushī meñ
vo jo aise savāl hote haiñ
un ke kyā javāb hote haiñ
kabhī DhūñD lo to aanā
phir mujhe bhī ye batānā
vo jo aise savāl hote haiñ
kyā un ke bhī
javāb hote haiñ
wo jo aise sawal hote hain
un ke kya jawab hote hain
wo jo KHushbu mein baste hain
aur phulon mein hanste hain
jin ka suKHan sada hota hai
aur harf taza hota hai
ek manus si KHamushi mein
wo jo aise sawal hote hain
un ke kya jawab hote hain
kabhi DhunD lo to aana
phir mujhe bhi ye batana
wo jo aise sawal hote hain
kya un ke bhi
jawab hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.