KHan-e-matruk
darvāze ke shīshoñ se lagī haiñ āñhkeñ
har goshe meñ maazī kī kamīñ-gāheñ haiñ
yādeñ haiñ ki bikhre hoñ khilaune jaise
kuchh āhaTeñ kuchh qahqahe kuchh aa.heñ haiñ
jo log yahāñ rahte the un ke saa.e
chup-chāp phirā karte haiñ un kamroñ meñ
khoī huī āvāz ga.e vaqtoñ kī
guuñj uThtī hai mānind-e-azāñ kānoñ meñ
maiñ aayā huuñ apne yahāñ mehmāñ ban kar
kuchh roz guzārūñgā chalā jā.ūñgā
miT jā.egā ġham duurī kā dhīre dhīre
kyā jāniye phir lauT ke kab ā.ūñgā
har sañg hai ik sañg-e-malāmat goyā
har katba-e-dīvār hai dushnām mujhe
paimān-e-vafā bāñdhā thā maiñ ne un se
ab takte haiñ hairat se dar-o-bām mujhe
darwaze ke shishon se lagi hain aanhken
har goshe mein mazi ki kamin-gahen hain
yaaden hain ki bikhre hon khilaune jaise
kuchh aahaTen kuchh qahqahe kuchh aahen hain
jo log yahan rahte the un ke sae
chup-chap phira karte hain un kamron mein
khoi hui aawaz gae waqton ki
gunj uThti hai manind-e-azan kanon mein
main aaya hun apne yahan mehman ban kar
kuchh roz guzarunga chala jaunga
miT jaega gham duri ka dhire dhire
kya jaaniye phir lauT ke kab aaunga
har sang hai ek sang-e-malamat goya
har katba-e-diwar hai dushnam mujhe
paiman-e-wafa bandha tha main ne un se
ab takte hain hairat se dar-o-baam mujhe
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 48)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.