KHana-ba-dosh
bastī se thoḌī duur chaTTānoñ ke darmiyāñ
Thahrā huā hai ḳhāna-ba-doshoñ kā kārvāñ
un kī kahīñ zamīn na un kā kahīñ makāñ
phirte haiñ yūñhī shaam o sahar zer-e-āsmāñ
dhuup aur abr-o-bār ke maare hue ġharīb
ye log vo haiñ jin ko ġhulāmī nahīñ nasīb
is kārvāñ meñ tifl bhī haiñ naujavāñ bhī haiñ
būḌhe bhī haiñ marīz bhī haiñ nā-tavāñ bhī haiñ
maile phaTe libās meñ kuchh deviyāñ bhī haiñ
sab zindagī se tañg bhī haiñ sargirāñ bhī haiñ
be-zār zindagī se haiñ piir o javāñ sabhī
altāf-e-shahryār ke haiñ nauha-ḳhvāñ sabhī
māthe pe saḳht-koshi-e-paiham kī dāstāñ
āñkhoñ meñ huzn o yaas kī ghanghor badliyāñ
chehroñ pe tāzyāna-e-iflās ke nishāñ
har har adā se bhuuk kī betābiyāñ ayaañ
paisa agar mile to hamīyat bhī bech deñ
roTī kā aasrā ho to izzat bhī bech deñ
uTThe haiñ jis kī god se aazar vo qaum hai
toḌe haiñ jis ne charḳh se aḳhtar vo qaum hai
palTe haiñ jis ne dahr ke daftar vo qaum hai
paidā kiye haiñ jis ne payambar vo qaum hai
ab kyuuñ sharīk-e-halqa-e-nau-e-bashar nahīñ
insān hī to haiñ ye koī jānvar nahīñ
āḳhir zamāna un ko satā.egā kab talak
kab se jalā rahā hai jalā.egā kab talak
kab se miTā rahā hai miTā.egā kab talak
un ke lahū ko josh na aa.egā kab talak
māyūsiyoñ kī tah meñ junūñ-ḳheziyāñ bhī haiñ
aflās kī sarisht meñ ḳhūñ-reziyāñ bhī haiñ
basti se thoDi dur chaTTanon ke darmiyan
Thahra hua hai KHana-ba-doshon ka karwan
un ki kahin zamin na un ka kahin makan
phirte hain yunhi sham o sahar zer-e-asman
dhup aur abr-o-bar ke mare hue gharib
ye log wo hain jin ko ghulami nahin nasib
is karwan mein tifl bhi hain naujawan bhi hain
buDhe bhi hain mariz bhi hain na-tawan bhi hain
maile phaTe libas mein kuchh dewiyan bhi hain
sab zindagi se tang bhi hain sargiran bhi hain
be-zar zindagi se hain pir o jawan sabhi
altaf-e-shahryar ke hain nauha-KHwan sabhi
mathe pe saKHt-koshi-e-paiham ki dastan
aankhon mein huzn o yas ki ghanghor badliyan
chehron pe tazyana-e-iflas ke nishan
har har ada se bhuk ki betabiyan ayan
paisa agar mile to hamiyat bhi bech den
roTi ka aasra ho to izzat bhi bech den
uTThe hain jis ki god se aazar wo qaum hai
toDe hain jis ne charKH se aKHtar wo qaum hai
palTe hain jis ne dahr ke daftar wo qaum hai
paida kiye hain jis ne payambar wo qaum hai
ab kyun sharik-e-halqa-e-nau-e-bashar nahin
insan hi to hain ye koi jaanwar nahin
aaKHir zamana un ko sataega kab talak
kab se jala raha hai jalaega kab talak
kab se miTa raha hai miTaega kab talak
un ke lahu ko josh na aaega kab talak
mayusiyon ki tah mein junun-KHeziyan bhi hain
aflas ki sarisht mein KHun-reziyan bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.