KHana-ba-doshon ka git
ab kis liye jahān-e-ḳharābī meñ ghūmnā
vo so ga.ī to us ne na dekhā ki us ke ba.ad
kitnī baḌī qatār khule zāviyoñ kī thī
vaqt aa gayā thā vasl-o-mukāfāt vasl kā
ūñchī zamīñ pe rail kī khiḌkī ke saath saath
ġhāroñ meñ bistaraoñ meñ zamīñ par razā.ī meñ
ab kis liye jahān-e-ḳharābī meñ lauTnā
so āshiyāñ ko misl-e-kabūtar uḌā.iye
aur din guzar chale to ye baazū sameT kar
añgushtarī ko aa.ine par maar soiye
vaqt aa gayā hai vasl-o-mukāfāt-e-vasl kā
ab kis liye jahan-e-KHarabi mein ghumna
wo so gai to us ne na dekha ki us ke baad
kitni baDi qatar khule zawiyon ki thi
waqt aa gaya tha wasl-o-mukafat wasl ka
unchi zamin pe rail ki khiDki ke sath sath
ghaaron mein bistaraon mein zamin par razai mein
ab kis liye jahan-e-KHarabi mein lauTna
so aashiyan ko misl-e-kabutar uDaiye
aur din guzar chale to ye bazu sameT kar
angushtari ko aaine par mar soiye
waqt aa gaya hai wasl-o-mukafat-e-wasl ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.