KHana-KHarab
dost jo bichhḌe hue ik din achānak mil ga.e
dil to ġhamgīñ the magar chehre ḳhushī se khil ga.e
shaad the donoñ ki qismat ne milāyā phir unheñ
baa'd muddat din masarrat kā dikhāyā phir unheñ
donoñ baiThe guftugū donoñ meñ jaarī ho ga.ī
bātoñ bātoñ meñ achānak baat aisī ho ga.ī
ek ne jab dūsre kī ḳhairiyat mā'lūm kī
bolā vo hālat batā.ūñ kyā dil-e-maġhmūm kī
aap ko to 'ilm hī hai mere do beTe bhī the
bas unhīñ beToñ kā ġham har lamha khātā hai mujhe
sun ke vo sāhib ye bole kaisā ġham hai kyā huā
kyoñ ye chehra aap kā hai is qadar utrā huā
bhiiḌ meñ duniyā kī kyā donoñ hī beTe kho ga.e
yā ḳhudā-na-ḳhvāsta allah ko pyāre ho ga.e
sun ke vo bolā ki aisī to nahīñ hai koī baat
sāniha kuchh aur hī guzrā hai merī jaañ ke saath
pahlā beTā kar ke shādī ban gayā ham par 'azāb
dūsre ne ban ke shā'ir kar liyā ḳhāna ḳharāb
dost jo bichhDe hue ek din achanak mil gae
dil to ghamgin the magar chehre KHushi se khil gae
shad the donon ki qismat ne milaya phir unhen
ba'd muddat din masarrat ka dikhaya phir unhen
donon baiThe guftugu donon mein jari ho gai
baaton baaton mein achanak baat aisi ho gai
ek ne jab dusre ki KHairiyat ma'lum ki
bola wo haalat bataun kya dil-e-maghmum ki
aap ko to 'ilm hi hai mere do beTe bhi the
bas unhin beTon ka gham har lamha khata hai mujhe
sun ke wo sahib ye bole kaisa gham hai kya hua
kyon ye chehra aap ka hai is qadar utra hua
bhiD mein duniya ki kya donon hi beTe kho gae
ya KHuda-na-KHwasta allah ko pyare ho gae
sun ke wo bola ki aisi to nahin hai koi baat
saniha kuchh aur hi guzra hai meri jaan ke sath
pahla beTa kar ke shadi ban gaya hum par 'azab
dusre ne ban ke sha'ir kar liya KHana KHarab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.