Khaar chunte hue
maiñ ne apnī zindagī
ḳhvāb dekhne laḌne aur ḳhaar chunñe meñ zaa.e.a kī
mujhe afsos hai
ḳhvāb mujhe ḳhush karte rahe
aur mohabbat ke lamhoñ ko multavī karte rahe
bahut ma.amūlī bātoñ ke liye
mujhe zalīl kiyā gayā
aur mere taḳhayyul ne
mujhe un logoñ se tavīl jañgoñ meñ zaa.e.a kiyā
jinheñ chand lafzoñ se shikast kī jā saktī thī
merī ibādat-gāh ko kisī ghar se aag nahīñ milī
mujhe ātish-dān ko raushan rakhne kā tarīqa jānñe ke liye
apne dil ko jalānā paḌā
aur itnī duur tak jaanā paḌā
ki ibādat-gāh ko vāpas aanā be-ma.anī Thahrā
kisī ne mujhe koī tarīqa nahīñ batāyā
merī bad-qismatī se pahle
koī is raah par nahīñ aayā
jahāñ āzād havā.eñ mere liye kāñTe ugātī rahīñ
aur merī zid tumhāre liye rāste āsān kartī rahī
mujhe afsos hai
merī zaḳhmī uñgliyāñ jab tak tumhāre liye
phūloñ kā haar banā pā.eñgī
phuul murjhā chuke hoñge
aur tum bahut se tahā.if le kar
apnī kāmyāb mohabbat kā jashn manāne jā chuke hoge
main ne apni zindagi
KHwab dekhne laDne aur KHar chunne mein zaea ki
mujhe afsos hai
KHwab mujhe KHush karte rahe
aur mohabbat ke lamhon ko multawi karte rahe
bahut mamuli baaton ke liye
mujhe zalil kiya gaya
aur mere taKHayyul ne
mujhe un logon se tawil jangon mein zaea kiya
jinhen chand lafzon se shikast ki ja sakti thi
meri ibaadat-gah ko kisi ghar se aag nahin mili
mujhe aatish-dan ko raushan rakhne ka tariqa jaanne ke liye
apne dil ko jalana paDa
aur itni dur tak jaana paDa
ki ibaadat-gah ko wapas aana be-mani Thahra
kisi ne mujhe koi tariqa nahin bataya
meri bad-qismati se pahle
koi is rah par nahin aaya
jahan aazad hawaen mere liye kanTe ugati rahin
aur meri zid tumhaare liye raste aasan karti rahi
mujhe afsos hai
meri zaKHmi ungliyan jab tak tumhaare liye
phulon ka haar bana paengi
phul murjha chuke honge
aur tum bahut se tahaif le kar
apni kaamyab mohabbat ka jashn manane ja chuke hoge
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 220)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.