KHatun-e-KHana-dar
suunī hai rahguzār-e-ġhazal kah rahī huuñ maiñ
bole hai chaukīdār ġhazal kah rahī huuñ maiñ
fursat nahīñ jo din ko maiñ fikr-e-suḳhan karūñ
rātoñ ko maarā maar ġhazal kah rahī huuñ maiñ
aa.ī jo niiñd ḳhvāb meñ bazm-e-suḳhan sajī
ab ho ke hoshiyār ġhazal kah rahī huuñ maiñ
hai machchharoñ ne kaaT ke behāl kar diyā
ab ho ke sharmsār ġhazal kah rahī huuñ maiñ
kyuuñ bhūñkte haiñ zor se kutte paḌos ke
in par ḳhudā kī maar ġhazal kah rahī huuñ maiñ
phir non tel lakḌī kā aane lagā ḳhayāl
ab ho ke hoshiyār ġhazal kah rahī huuñ maiñ
ḳhātūn-e-ḳhāna-dār bhī huuñ shā.era bhī huuñ
haiñ kaam be-shumār ġhazal kah rahī huuñ maiñ
suni hai rahguzar-e-ghazal kah rahi hun main
bole hai chaukidar ghazal kah rahi hun main
fursat nahin jo din ko main fikr-e-suKHan karun
raaton ko mara mar ghazal kah rahi hun main
aai jo nind KHwab mein bazm-e-suKHan saji
ab ho ke hoshiyar ghazal kah rahi hun main
hai machchharon ne kaT ke behaal kar diya
ab ho ke sharmsar ghazal kah rahi hun main
kyun bhunkte hain zor se kutte paDos ke
in par KHuda ki mar ghazal kah rahi hun main
phir non tel lakDi ka aane laga KHayal
ab ho ke hoshiyar ghazal kah rahi hun main
KHatun-e-KHana-dar bhi hun shaera bhi hun
hain kaam be-shumar ghazal kah rahi hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.