KHabar hai ki nahin
ab sabā kūcha-e-jānāñ meñ guzre hai ki nahīñ
tujh ko is fitna-e-ālam kī ḳhabar hai ki nahīñ
bujh gayā mehr kā fānūs ki raushan hai abhī
ab un āñkhoñ meñ lagāvaT kā asar hai ki nahīñ
ab mere naam kā paḌhtā hai vazīfa koī
ab mirā zikr-e-vafā dard-e-sahar hai ki nahīñ
ab bhī taktī haiñ mirī raah vo kāfir āñkheñ
ab bhī duzdīda nazar jānib-e-dar hai ki nahīñ
chhup ke rātoñ ko mirī yaad meñ rotā hai koī
maujzan aañkh meñ ab ḳhūn-e-jigar hai ki nahīñ
husn ko pursish-e-bīmār kā hai ab bhī ḳhayāl
mehr kī zarra ḳhākī pe nazar hai ki nahīñ
be-ḳhabar mujh ko zamāne se kiyā hai jis ne
kuchh use merī tabāhī kī ḳhabar hai ki nahīñ
khaa.e jaatā hai mujhe dard-e-ġharīb-ul-vatanī
dil par is jān-e-vatan ke bhī asar hai ki nahīñ
'josh' ḳhāmosh bhī ho pūchh rahā hai kyā kyā
kuchh tujhe tāḌne vāloñ kī ḳhabar hai ki nahīñ
ab saba kucha-e-jaanan mein guzre hai ki nahin
tujh ko is fitna-e-alam ki KHabar hai ki nahin
bujh gaya mehr ka fanus ki raushan hai abhi
ab un aankhon mein lagawaT ka asar hai ki nahin
ab mere nam ka paDhta hai wazifa koi
ab mera zikr-e-wafa dard-e-sahar hai ki nahin
ab bhi takti hain meri rah wo kafir aankhen
ab bhi duzdida nazar jaanib-e-dar hai ki nahin
chhup ke raaton ko meri yaad mein rota hai koi
maujzan aankh mein ab KHun-e-jigar hai ki nahin
husn ko pursish-e-bimar ka hai ab bhi KHayal
mehr ki zarra KHaki pe nazar hai ki nahin
be-KHabar mujh ko zamane se kiya hai jis ne
kuchh use meri tabahi ki KHabar hai ki nahin
khae jata hai mujhe dard-e-gharib-ul-watani
dil par is jaan-e-watan ke bhi asar hai ki nahin
'josh' KHamosh bhi ho puchh raha hai kya kya
kuchh tujhe taDne walon ki KHabar hai ki nahin
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 11)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.