KHabar shaki hai
ḳhabar shākī hai tum mujh ko
faqat qissa samajh kar hī nazar-andāz karte ho
kabhī sochā hai tum ne ye ki
ik chhoTe se qisse ne
ḳhabar banñe ke pahle kyā jatan jhele sitam kaaTe
kisī be-nām kūche se nikal kar sāmne aayā
sisakte ūñghte logoñ ko chauñkāyā
bahut kuchh aur bhī kartā huā qissa ḳhabar kā ruup letā hai
magar tum to faqat qissa samajh kar chhoḌ dete ho
sabab us kā ye hai shāyad
yahāñ hai maut bhī ma.amūl meñ shāmil
kuñvāre be-zabāñ jismoñ pe hamle roz hote haiñ
Dakaitī qatl iġhvā luuT aur ātish-zanī
bahut kuchh hotā hī rahtā hai
nayā jaise kahīñ kuchh bhī nahīñ
lekin kabhī tum par
aur un par bhī ki jin par sab guzartā hai
sabhī kuchh ḳhaas tab hogā
kabhī tum par bhī kuchh guzre
ḳhabar shākī hai tum mujh ko
faqat qissa samajh kar chhoḌ dete ho
KHabar shaki hai tum mujh ko
faqat qissa samajh kar hi nazar-andaz karte ho
kabhi socha hai tum ne ye ki
ek chhoTe se qisse ne
KHabar banne ke pahle kya jatan jhele sitam kaTe
kisi be-nam kuche se nikal kar samne aaya
sisakte unghte logon ko chaunkaya
bahut kuchh aur bhi karta hua qissa KHabar ka rup leta hai
magar tum to faqat qissa samajh kar chhoD dete ho
sabab us ka ye hai shayad
yahan hai maut bhi mamul mein shamil
kunware be-zaban jismon pe hamle roz hote hain
Dakaiti qatl ighwa luT aur aatish-zani
bahut kuchh hota hi rahta hai
naya jaise kahin kuchh bhi nahin
lekin kabhi tum par
aur un par bhi ki jin par sab guzarta hai
sabhi kuchh KHas tab hoga
kabhi tum par bhi kuchh guzre
KHabar shaki hai tum mujh ko
faqat qissa samajh kar chhoD dete ho
- Book : TO MAIN KAHAN HOON (POETRY) (Pg. 103)
- Author : Badr Wasti
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.