KHadsha
guphāoñ jañgaloñ se duur
ham tahzīb kī dhun par
tamaddun kī ridā oḌhe
safar karte rahe haiñ ek muddat se
magar ye ik haqīqat hai
ki is lambe safar kī ek saa.at bhī
hamāre haq meñ kuchh achchhī nahīñ niklī
darīda ho chukī is darmiyāñ chādar tamaddun kī
girāñ-bār-e-samā.at ho ga.ī tahzīb kī har dhun
ab aise meñ
zamīñ kī shakl ko madd-e-nazar rakhiye
to ye mahsūs hotā hai
ki yuuñ jaarī rahā apnā safar
to ek din
phir se na jā pahuñcheñ
guphāoñ ke añdheroñ meñ
guphaon jangalon se dur
hum tahzib ki dhun par
tamaddun ki rida oDhe
safar karte rahe hain ek muddat se
magar ye ek haqiqat hai
ki is lambe safar ki ek saat bhi
hamare haq mein kuchh achchhi nahin nikli
darida ho chuki is darmiyan chadar tamaddun ki
giran-bar-e-samaat ho gai tahzib ki har dhun
ab aise mein
zamin ki shakl ko madd-e-nazar rakhiye
to ye mahsus hota hai
ki yun jari raha apna safar
to ek din
phir se na ja pahunchen
guphaon ke andheron mein
- Book : dhoop ke pudey (Pg. 30)
- Author : arshad kamaal
- Publication : educational publishing house (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.