shaam peshawar kā station
saj kar banā huā thā dulhan
station par bhiiḌ baḌī thī
sāmne ḳhaibar mail khaḌī thī
log hī log the andar bāhar
kaale gore afsar naukar
qulī uThā.e trunk aur bistar
number de kar bhāge andar
baabā ne ham ko Thahrāyā
ticket karachi kā kaTvāyā
bhīḌ-bhaḌakkā shor-sharāba
pīchhe ham aur aage baabā
apnī baġhal meñ basta daabe
ik Dabbe meñ aan birāje
chalī peshawar se jo gaaḌī
nau-shahrā junction par Thahrī
chale yahāñ se khā kar bhinDī
raat ko pahuñche rāvalpinDī
Thahre yahāñ ham aadhā ghanTa
rail ne bhī yaañ engine badlā
pinDī meñ thī bārish kam-kam
rail chhukā-chhuk pahuñchī jehlam
meñh jehlam meñ chhājoñ barsā
bijlī chamkī bādal garjā
āḳhir is barsāt se guzre
sub.h huī gujrāt se guzre
utar ga.ī gujrāt meñ ḳhāla
aage aayā gujranwala
mail ne gujranwala chhoḌā
aur lahore se rishta joḌā
ham ne pī lahore meñ chaa.e
phir chhuk chhuk multān ko aa.e
garmī thī multān meñ bhaa.ī
aage rail ne ret uḌaa.ī
rail chhukā-chhuk aage dauḌī
ret uḌātī pahuñchī rohḌī
yaañ sikkhar ke biscuit chakkhe
phir ham TanDu aadam pahuñche
chalā yahāñ sustā kar engine
aayā Hyderabad station
uuñT yahāñ kahlā.e Dāchī
aage chale to aayā karachi
rasta ḳhatm thā rail kā aage
vo jā soī aur ham jaage
ham ne baġhal meñ daabā basta
aur liyā bāhar kā rasta
logoñ ne sāmān uThvā.e
careñ Tāñge rikshe aa.e
bigḌe jhagḌe chuke kirā.e
apne apne pate batā.e
koī musāfir hotel pahuñchā
ḳhair se koī ghar ko aayā
jo jo naam nahīñ ginvā.e
vahāñ vahāñ ham so kar aa.e