khajurahe
mohabbat ḳhvāb-e-rangīñ hai
nashāt-e-iḳhtilāt ab naqsh-e-sangīñ hai
ki patthar se tarāshīda ye pistān aur ye rāneñ haiñ ārāmīda patthar meñ
fareb-e-zindagī māshūq-o-āshiq kī ham-āġhosh
hai nazar lams-e-ḳhāmoshī
ḳhutūt-e-jism aur jādū-nigāhoñ kā
fusūn-o-lutf bāñhoñ kā
kashish tannāz kūlhoñ kī
latāfat shoḳh phūloñ kī
nahīñ patthar nahīñ ye sho.ala-e-ehsās hai raqsāñ
havas kī aag ban kar ye badan kā raag hai raḳhshāñ
nahīñ ab sard patthar hai
sharīr ādarsh hai kis kā
milan kā harsh hai kis kā
na koī mard nai aurat
milan hai shilp-kār aur shilp meñ bas ye haqīqat hai
milan kā harsh hai un kā
mohabbat KHwab-e-rangin hai
nashat-e-iKHtilat ab naqsh-e-sangin hai
ki patthar se tarashida ye pistan aur ye ranen hain aaramida patthar mein
fareb-e-zindagi mashuq-o-ashiq ki ham-aghosh
hai nazar lams-e-KHamoshi
KHutut-e-jism aur jadu-nigahon ka
fusun-o-lutf banhon ka
kashish tannaz kulhon ki
latafat shoKH phulon ki
nahin patthar nahin ye shoala-e-ehsas hai raqsan
hawas ki aag ban kar ye badan ka rag hai raKHshan
nahin ab sard patthar hai
sharir aadarsh hai kis ka
milan ka harsh hai kis ka
na koi mard nai aurat
milan hai shilp-kar aur shilp mein bas ye haqiqat hai
milan ka harsh hai un ka
- Book : Gyan Marg ky Nazme.n (Pg. 33)
- Author : KRISHN MOHAN
- Publication : National Acadami, Ansari Market, Daryaganj (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.