KHala aur KHuda
terī raah dekhte dekhte
āñkhoñ ne dekhnā hī chhoḌ diyā hai
afsurdagī haDDiyoñ ke guude meñ Tīseñ maar rahī hai
gosht-post thor-zada zamīn kī tarah barbādī kā naqsha pesh kar rahā hai
lahū shiryānoñ meñ jam kar rah gayā hai
na aane vaale tū kab tak na aa.egā
kā.enātoñ ke ḳhāliq kin āfāq meñ kho gayā hai tū
kaun se āsmān bhā ga.e haiñ tujhe
kaun se ḳhalā khā ga.e haiñ tujhe
ḳhalā hī pasand haiñ to mere dil meñ aa
ki tū ne is se baḌā black-hole to abhī tak paidā nahīñ kiyā
aa ai ḳhudā aa
aa mere dil ke ḳhalā meñ aa
tū agar har jagah hai to merā dil kyuuñ ḳhālī hai
dil ke athāh pātāl meñ DhūñDhtā huuñ aur tujhe paatā nahīñ
sochtā huuñ kahīñ ḳhalā hī ḳhudā na ho
shāyad intizār hī us kī maujūdgī ho
shāyad adam hī us kā vajūd ho
aur nafī us kā isbāt
phir ye soch palTā khātī aur dil ke ḳhalā meñ utar jaatī hai
aur ek āvāra āvāz kī tarah gūñjtī hai
gūñjtī hai gūñjtī hai gūñje hī chalī jaatī hai
aur āhista āhista ek lafz meñ Dhal jaatī hai
ḳhudā
aur āḳhir meñ ek sur rah jaatā hai
aa
duur kahīñ kisī ne darbārī kā alaap chheḌā hai
aa
merī pathrā.ī huī āñkheñ nam ho jaatī haiñ
dil ḳhuun ho kar
āñkhoñ se Tapak paḌtā hai
aur dil ke ḳhalā meñ gūñjtī huī āvāz pukār uThtī hai
maiñ ne to pahle hī kahā thā
yahī ḳhudā hai
teri rah dekhte dekhte
aankhon ne dekhna hi chhoD diya hai
afsurdagi haDDiyon ke gude mein Tisen mar rahi hai
gosht-post thor-zada zamin ki tarah barbaadi ka naqsha pesh kar raha hai
lahu shiryanon mein jam kar rah gaya hai
na aane wale tu kab tak na aaega
kaenaton ke KHaliq kin aafaq mein kho gaya hai tu
kaun se aasman bha gae hain tujhe
kaun se KHala kha gae hain tujhe
KHala hi pasand hain to mere dil mein aa
ki tu ne is se baDa black-hole to abhi tak paida nahin kiya
aa ai KHuda aa
aa mere dil ke KHala mein aa
tu agar har jagah hai to mera dil kyun KHali hai
dil ke athah patal mein DhunDhta hun aur tujhe pata nahin
sochta hun kahin KHala hi KHuda na ho
shayad intizar hi us ki maujudgi ho
shayad adam hi us ka wajud ho
aur nafi us ka isbaat
phir ye soch palTa khati aur dil ke KHala mein utar jati hai
aur ek aawara aawaz ki tarah gunjti hai
gunjti hai gunjti hai gunje hi chali jati hai
aur aahista aahista ek lafz mein Dhal jati hai
KHuda
aur aaKHir mein ek sur rah jata hai
aa
dur kahin kisi ne darbari ka alap chheDa hai
aa
meri pathrai hui aankhen nam ho jati hain
dil KHun ho kar
aankhon se Tapak paDta hai
aur dil ke KHala mein gunjti hui aawaz pukar uThti hai
main ne to pahle hi kaha tha
yahi KHuda hai
- Book : din kaa phool (Pg. 23)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.