KHala ki god
urūs-e-amn ke hoñToñ pe sahmī sahmī sī
machal rahī hai tabassum kī kahkashāñ ban kar
ye zindagī jo kahīñ phuul hai javānī hai
kisī hasīñ kā takallum kisī sanam kā jamāl
kisī kī zulf kā bādal kisī nazar kā ḳhumār
kisī damaktī jabīñ par hayā kī surḳh lakīr
jhukī jhukī sī nigāhoñ kā sehr-e-hosh-rubā
ye zindagī ki jo tahzīb-e-ādamiyyat ko
sajā.e palkoñ pe kājal kī tarah nāzāñ hai
ye zindagī jo tamaddun ko apne siine se
lagā.e raqs-kunāñ hai sahar kī rāhoñ meñ
ye zindagī ki jo insāniyat ke paikar meñ
ḳhalā kī god meñ fitrat se ham-kalām huī
ye kā.enāt ke barbat pe dil-nashīñ ik raag
zamīñ kī maañg kā siñdūr āsmāñ kā suhāg
jilau meñ qāfila-e-rang-o-nūr laa.ī hai
urūs-e-amn kī āġhosh meñ dar aa.ī hai
urus-e-amn ke honTon pe sahmi sahmi si
machal rahi hai tabassum ki kahkashan ban kar
ye zindagi jo kahin phul hai jawani hai
kisi hasin ka takallum kisi sanam ka jamal
kisi ki zulf ka baadal kisi nazar ka KHumar
kisi damakti jabin par haya ki surKH lakir
jhuki jhuki si nigahon ka sehr-e-hosh-ruba
ye zindagi ki jo tahzib-e-adamiyyat ko
sajae palkon pe kajal ki tarah nazan hai
ye zindagi jo tamaddun ko apne sine se
lagae raqs-kunan hai sahar ki rahon mein
ye zindagi ki jo insaniyat ke paikar mein
KHala ki god mein fitrat se ham-kalam hui
ye kaenat ke barbat pe dil-nashin ek rag
zamin ki mang ka sindur aasman ka suhag
jilau mein qafila-e-rang-o-nur lai hai
urus-e-amn ki aaghosh mein dar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.