KHala mein bandar
ek ''bono'' naam kā bandar gayā soū-e-ḳhalā
aadmī kā kaam hai bandar kā phañstā hai galā
ye tavaqqo bandaroñ se kar bhalā hogā bhalā
hai yahī bandar ke sar goyā tavīle kī balā
'darvin' ne sach kahā thā us kā ye ehsān hai
aadmī kā pesh-rau ye be-zabāñ haivān hai
gardish-e-daurāñ meñ aayā hai ye kaisā inqalāb
dekhte haiñ ab ḳhalā meñ baiTh kar bandar bhī ḳhvāb
ḳhvāb kyā hogā yahī hogā ki ham haiñ lā-javāb
is binā pe aadmī kā bhī lagā.eñge hisāb
kyā ḳhalā meñ us pe guzrī hogī ai saaqī na pūchh
''kāv-kāv-e-saḳht-jānī haa.e tanhā.ī na pūchch''
ye to scientist hī jāneñ unhī ko hai ḳhabar
is ḳhalā ke ḳhvāb meñ bandar ko kyā aayā nazar
us ko kyā ma.alūm us kā hai ḳhalā meñ kyuuñ safar
ye samajhtā hogā maiñ baiThā huuñ ūñchī Daal par
sochtā hogā ki har ḳhurd-o-kalāñ chakkar meñ hai
ye zamīñ chakkar meñ hai ye āsmāñ chakkar meñ hai
ḳhvāh chhoTī zaat kā bandar hai yā Dhabbūs hai
jis ne bhejā hai ḳhalā meñ us ko vo to ruus hai
vo zamīñ vāloñ kā ik bhejā huā jāsūs hai
DugDugī kī shakl kī ashyā se vo mānūs hai
chūñki aadhī DugDugī kī shakl meñ hai capsule
nāchte haiñ DugDugī ke bal pe bandar yā usuul
duur se shāyad zamīñ ko DugDugī samjhā hai vo
nāchte rahne ko shāyad zindagī samjhā hai vo
tairte rahnā ḳhalā meñ dil-lagī samjhā hai vo
aadmī ḳhud ko ze-fart-e-sādgī samjhā hai vo
baat ''bono'' kī ḳhalā meñ dekhiye kaise bane
kyā sitāre shab meñ aate haiñ nazar us ko chane
ek bono nam ka bandar gaya sou-e-KHala
aadmi ka kaam hai bandar ka phansta hai gala
ye tawaqqo bandaron se kar bhala hoga bhala
hai yahi bandar ke sar goya tawile ki bala
'darwin' ne sach kaha tha us ka ye ehsan hai
aadmi ka pesh-rau ye be-zaban haiwan hai
gardish-e-dauran mein aaya hai ye kaisa inqalab
dekhte hain ab KHala mein baiTh kar bandar bhi KHwab
KHwab kya hoga yahi hoga ki hum hain la-jawab
is bina pe aadmi ka bhi lagaenge hisab
kya KHala mein us pe guzri hogi ai saqi na puchh
kaw-kaw-e-saKHt-jaani hae tanhai na puchch
ye to scientist hi jaanen unhi ko hai KHabar
is KHala ke KHwab mein bandar ko kya aaya nazar
us ko kya malum us ka hai KHala mein kyun safar
ye samajhta hoga main baiTha hun unchi Dal par
sochta hoga ki har KHurd-o-kalan chakkar mein hai
ye zamin chakkar mein hai ye aasman chakkar mein hai
KHwah chhoTi zat ka bandar hai ya Dhabbus hai
jis ne bheja hai KHala mein us ko wo to rus hai
wo zamin walon ka ek bheja hua jasus hai
DugDugi ki shakl ki ashya se wo manus hai
chunki aadhi DugDugi ki shakl mein hai capsule
nachte hain DugDugi ke bal pe bandar ya usul
dur se shayad zamin ko DugDugi samjha hai wo
nachte rahne ko shayad zindagi samjha hai wo
tairte rahna KHala mein dil-lagi samjha hai wo
aadmi KHud ko ze-fart-e-sadgi samjha hai wo
baat bono ki KHala mein dekhiye kaise bane
kya sitare shab mein aate hain nazar us ko chane
- Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 135)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (P.k.) (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.