KHala mein luDhakti zamin
zamīñ
bāñjh chehroñ ke ham-rāh
chaltī chalī jā rahī hai
ḳhalā
apnī barfāb sī vus.atoñ meñ
zamāne ugaltā huā chal rahā hai
safar
zāviyoñ kī panāhoñ meñ baiThā huā
ḳhvāb meñ Dhal rahā hai
zamīñ
bāñjh chehroñ ke ham-rāh
chaltī chalī jā rahī hai
havā
apnī sāñsoñ ke bārūd meñ
ḳhvāhishoñ ko ulaTtī huī bah rahī hai
zamīñ
bāñjh chehroñ ke ham-rāh
chaltī chalī jā rahī hai
samundar kī ḳhūñ-ḳhvār lahreñ
safar dar safar ḳhauf pahne hue
bhāgtī jā rahī haiñ
kabhī chāñd ke
aur kabhī
jalte sūraj ke jismoñ ko pī ke
ka.ī rañg phailā rahī haiñ
zamīñ
bāñjh chehroñ ke ham-rāh
chaltī chalī jā rahī hai
zamin
banjh chehron ke ham-rah
chalti chali ja rahi hai
KHala
apni barfab si wusaton mein
zamane ugalta hua chal raha hai
safar
zawiyon ki panahon mein baiTha hua
KHwab mein Dhal raha hai
zamin
banjh chehron ke ham-rah
chalti chali ja rahi hai
hawa
apni sanson ke barud mein
KHwahishon ko ulaTti hui bah rahi hai
zamin
banjh chehron ke ham-rah
chalti chali ja rahi hai
samundar ki KHun-KHwar lahren
safar dar safar KHauf pahne hue
bhagti ja rahi hain
kabhi chand ke
aur kabhi
jalte suraj ke jismon ko pi ke
kai rang phaila rahi hain
zamin
banjh chehron ke ham-rah
chalti chali ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.