KHala sa kahin hai
ḳhayābān-e-dānish-gah-e-mumbai se
yahāñ rāj-path ke safar tak
hamesha mire zer-e-pā
shāhrāheñ rahī haiñ
aalā imārāt
sarsabz maidāñ
do-rūya qatāroñ meñ
ashjār-e-farhāñ
tamaddun ke ġhammāz
be-misl naql-o-hamal ke zarā.e
tahaffuz ko jāñ-bāz
sar baaz har gaam āñhkeñ bichhā.e
maiñ ik bachcha-e-qarya-e-dūr-uftāda
lekin
mire baḳht meñ aaj tak
pā.e-taḳhtī sukūnat rahī hai
aur ab jis idāre se vābastagī hai
vahāñ ain lāzim hai bairūn-e-kishvar
yuuñ hī pā.e-taḳhtī sukūnat mile
(ya.anī mahfil meñ uzlat mile)
vo ḳhush-baḳht o ḳhush-kām hoñ
zindagī se shikāyat
sarāsar ġhalat nā-ravā hai
vo bar-haq hai haq jāntā hai
magar ye bhī haq hai
maiñ ik aisā fan-pāra huuñ
jis ke fankār
is shahr ke kohna ghar meñ makīñ haiñ
jahāñ vāpsī ke mirī aaj imkāñ nahīñ haiñ
maiñ akasr
yahī sochtā thā
sabhī kuchh mayassar hai
phir kyuuñ ḳhalā sā kahīñ hai
khulā hijr-e-fankār se dil hazīñ hai
KHayaban-e-danish-gah-e-mumbai se
yahan raj-path ke safar tak
hamesha mere zer-e-pa
shahrahen rahi hain
aala imaraat
sarsabz maidan
do-ruya qataron mein
ashjar-e-farhan
tamaddun ke ghammaz
be-misl naql-o-hamal ke zarae
tahaffuz ko jaan-baz
sar baz har gam aanhken bichhae
main ek bachcha-e-qarya-e-dur-uftada
lekin
mere baKHt mein aaj tak
pae-taKHti sukunat rahi hai
aur ab jis idare se wabastagi hai
wahan ain lazim hai bairun-e-kishwar
yun hi pae-taKHti sukunat mile
(yani mahfil mein uzlat mile)
wo KHush-baKHt o KHush-kaam hon
zindagi se shikayat
sarasar ghalat na-rawa hai
wo bar-haq hai haq jaanta hai
magar ye bhi haq hai
main ek aisa fan-para hun
jis ke fankar
is shahr ke kohna ghar mein makin hain
jahan wapsi ke meri aaj imkan nahin hain
main akasr
yahi sochta tha
sabhi kuchh mayassar hai
phir kyun KHala sa kahin hai
khula hijr-e-fankar se dil hazin hai
- Book : Na Mau'ud (Pg. 22)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.