KHalilurrahman aazmi ki yaad mein
Interesting Fact
In memory of his guide and mentor Khalilul Rahman Azmi.
dhuul meñ lipTe chehre vaalā
merā saaya
kis manzil kis moḌ pe bichhḌā
os meñ bhīgī ye pagDanDī
aage jā kar muḌ jaatī hai
katboñ kī ḳhushbū aatī hai
ghar vāpas jaane kī ḳhvāhish
dil meñ pahle kab aatī hai
us lamhe kī rañg-birañgī sab tasvīreñ
pahlī bārish meñ dhul jaa.eñ
merī ā.ankhoñ meñ lambī rāteñ ghul jaa.eñ
dhul mein lipTe chehre wala
mera saya
kis manzil kis moD pe bichhDa
os mein bhigi ye pagDanDi
aage ja kar muD jati hai
katbon ki KHushbu aati hai
ghar wapas jaane ki KHwahish
dil mein pahle kab aati hai
us lamhe ki rang-birangi sab taswiren
pahli barish mein dhul jaen
meri aaankhon mein lambi raaten ghul jaen
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 632)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.