KHalish-e-tassur
ḳhāmosh huā bheḌoñ kā gallā chalte chalte mimyā kar
jā pahuñchā shāyad baaḌe meñ buusī raste meñ phailā kar
chup-chāp khaḌā hai duur udhar vo jañgal kaalī chīloñ kā
sarsabz pahāḌoñ ko pur-haul banāne vaalī chīloñ kā
āvāz nahīñ aatī ab jhiil kī jānib se murġhābī kī
sunsān fazā be-jān havā meñ larzāñ ruuh ḳhamoshī kī
yuuñ laa.ī dosh pe laash sī kyā rañgīñ din kī barbādī kī
ye shaam ye gahrī shaam ye har lahza baḌhtī huī tārīkī!
qudarat ke sukūt-e-mujassam kī is haibat-zā ārā.ish se
vaadī ke zarre zarre kī ham-āhañgī kī numā.ish se
har naqsh-e-shajar har fīl-numā patthar duniyā hai tilismoñ kī
had hī nahīñ aatī koī nazar us turfa-fusūñ kī qismoñ kī
har shai par ḳhvāb sā taarī hai aur maiñ huuñ sarf-e-be-ḳhvābī
lene hī nahīñ detī dam mujh ko merī fitrat-e-sīmābī
ai kaash kabhī kam kar saktī mere bhī dil kī betābī
ye shaam ye gahrī shaam ye har lahza baḌhtī huī tārīkī
maiñ masnūāt kā parvārda balki insān bhī masnūī
merā sāmān bhī masnūī merā īmān bhī masnūī
basne vaalā maidānoñ ke hañgāma-parvar shahroñ kā
be-rabt sukūñ se nā-vāqif aur shorīda-sar shahroñ kā
maiñ qudarat ke asrār-o-rumūz-e-pinhāñ se āgāh kahāñ
is andhyār ke athāh samundar kī mire dil meñ chaah kahāñ
aur mujh ko dikhātī hai nūr-e-haqīqat ke jalvaoñ kī raah kahāñ
ye shaam ye gahrī shaam ye har lahza baḌhtī huī tārīkī
ye manzar ḳhush-ā.ind to haiñ maiñ in se magar kyuuñ Dartā huuñ
kyuuñ in kī dil-āvezī ko vahshat-nāk tasavvur kartā huuñ
kyuuñ mujh ko mayassar sañg o shajar kā sā bhī sukūn-e-qalb nahīñ
kyuuñ merī duniyā is duniyā se jā ke basī hai duur kahīñ
kyuuñ maiñ ne Daalā hai apne hī jī ko aap halākat meñ
kyuuñ ho hī nahīñ jaatā maiñ ḳhud paivasta jahān-e-qudarat meñ
kyuuñ le hī nahīñ letī mujh ko apnī āġhosh kī vus.at meñ
ye shaam ye gahrī tārīkī ye har lahza baḌhtī huī tārīkī
KHamosh hua bheDon ka galla chalte chalte mimya kar
ja pahuncha shayad baDe mein busi raste mein phaila kar
chup-chap khaDa hai dur udhar wo jangal kali chilon ka
sarsabz pahaDon ko pur-haul banane wali chilon ka
aawaz nahin aati ab jhil ki jaanib se murghabi ki
sunsan faza be-jaan hawa mein larzan ruh KHamoshi ki
yun lai dosh pe lash si kya rangin din ki barbaadi ki
ye sham ye gahri sham ye har lahza baDhti hui tariki!
qudarat ke sukut-e-mujassam ki is haibat-za aaraish se
wadi ke zarre zarre ki ham-ahangi ki numaish se
har naqsh-e-shajar har fil-numa patthar duniya hai tilismon ki
had hi nahin aati koi nazar us turfa-fusun ki qismon ki
har shai par KHwab sa tari hai aur main hun sarf-e-be-KHwabi
lene hi nahin deti dam mujh ko meri fitrat-e-simabi
ai kash kabhi kam kar sakti mere bhi dil ki betabi
ye sham ye gahri sham ye har lahza baDhti hui tariki
main masnuat ka parwarda balki insan bhi masnui
mera saman bhi masnui mera iman bhi masnui
basne wala maidanon ke hangama-parwar shahron ka
be-rabt sukun se na-waqif aur shorida-sar shahron ka
main qudarat ke asrar-o-rumuz-e-pinhan se aagah kahan
is andhyar ke athah samundar ki mere dil mein chah kahan
aur mujh ko dikhati hai nur-e-haqiqat ke jalwaon ki rah kahan
ye sham ye gahri sham ye har lahza baDhti hui tariki
ye manzar KHush-aind to hain main in se magar kyun Darta hun
kyun in ki dil-awezi ko wahshat-nak tasawwur karta hun
kyun mujh ko mayassar sang o shajar ka sa bhi sukun-e-qalb nahin
kyun meri duniya is duniya se ja ke basi hai dur kahin
kyun main ne Dala hai apne hi ji ko aap halakat mein
kyun ho hi nahin jata main KHud paiwasta jahan-e-qudarat mein
kyun le hi nahin leti mujh ko apni aaghosh ki wusat mein
ye sham ye gahri tariki ye har lahza baDhti hui tariki
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 95)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.