KHalish
zāfrānī shabīh thī us kī
maiñ bhī thā sabza-e-bahār kā rañg
yuuñ huī tez qurbatoñ kī dhuup
ruup bahrūp e'tibār kā rañg
biich meñ aa ga.ī ḳhizāñ aisī
barg-e-jazbāt ho ga.e piile
paḌ ga.ī ishq par ajab uftād
phir nayā mausam-e-siyāsat thā
khiñch ga.ī phir fasīl-e-tafrīqāt
duur kā Dhol jashn-e-taqrībāt
qarz kī tarah husn kī ḳhairāt
rah ga.e haath kāsa-e-shub.hāt
ek naqsha hai be-panāhī kā
aur is par ināyatoñ kī panāh
ishq thā pesha-e-junūñ pahle
tez thā tesha-e-fusūñ pahle
ab to ye māñgtā hai ḳhuuñ pahle
badle badle haiñ vaqt aur hālāt
hukmarāñ har taraf hue sadmāt
shaġhl-e-daurāñ hai sirf shah aur maat
DhūñDhtā phir rahā huuñ rāh-e-najāt
ḳhvāb par yuuñ zavāl aayā hai
qurbatoñ par savāl aayā hai
kyā huā ham bhī chal na paa.e saath
ik ḳhalish rah ga.ī magar jānāñ
zafrani shabih thi us ki
main bhi tha sabza-e-bahaar ka rang
yun hui tez qurbaton ki dhup
rup bahrup e'tibar ka rang
bich mein aa gai KHizan aisi
barg-e-jazbaat ho gae pile
paD gai ishq par ajab uftad
phir naya mausam-e-siyasat tha
khinch gai phir fasil-e-tafriqat
dur ka Dhol jashn-e-taqribaat
qarz ki tarah husn ki KHairaat
rah gae hath kasa-e-shubhat
ek naqsha hai be-panahi ka
aur is par inayaton ki panah
ishq tha pesha-e-junun pahle
tez tha tesha-e-fusun pahle
ab to ye mangta hai KHun pahle
badle badle hain waqt aur haalat
hukmaran har taraf hue sadmat
shaghl-e-dauran hai sirf shah aur mat
DhunDhta phir raha hun rah-e-najat
KHwab par yun zawal aaya hai
qurbaton par sawal aaya hai
kya hua hum bhi chal na pae sath
ek KHalish rah gai magar jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.