KHalish
terī tasvīr tire husn kā ye aks-e-jamīl
tere hoñToñ kā tabassum tirī āñkhoñ kā surūr
tere is nuqra.ī māthe pe tilā.ī jhūmar
chāñd kī kirnoñ meñ bahtā huā ik mauja-e-nūr
ye tire marmarīñ baazū pe ghanerī zulfeñ
aaj sākit haiñ pas-e-parda-e-tasvīr magar
chand mub.ham se nuqūsh aur ye dhuñdle ḳhāke
tū ne bheje haiñ ki ho jā.egī taskīn-e-nazar
kaash ye TeḌhī lakīreñ yahī dhuñdle ḳhāke
paikar-e-hastī ke sāñche meñ agar Dhal sakte
merī maġhmūm tamannāoñ ke ḳhāmosh charāġh
terī sāñsoñ kī harārat se kabhī jal sakte
teri taswir tere husn ka ye aks-e-jamil
tere honTon ka tabassum teri aankhon ka surur
tere is nuqrai mathe pe tilai jhumar
chand ki kirnon mein bahta hua ek mauja-e-nur
ye tere marmarin bazu pe ghaneri zulfen
aaj sakit hain pas-e-parda-e-taswir magar
chand mubham se nuqush aur ye dhundle KHake
tu ne bheje hain ki ho jaegi taskin-e-nazar
kash ye TeDhi lakiren yahi dhundle KHake
paikar-e-hasti ke sanche mein agar Dhal sakte
meri maghmum tamannaon ke KHamosh charagh
teri sanson ki hararat se kabhi jal sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.