KHumistan-e-azal ka saqi
pahuñchtā hai har ik mai-kash ke aage daur-e-jām us kā
kisī ko tishna-lab rakhtā nahīñ hai lutf-e-ām us kā
gavāhī de rahī hai us kī yaktā.ī pe zaat us kī
duī ke naqsh sab jhūTe haiñ sachchā ek naam us kā
har ik zarra fazā kā dāstān us kī sunātā hai
har ik jhoñkā havā kā aa ke detā hai payām us kā
maiñ us ko ka.aba-o-but-ḳhāna meñ kyuuñ DhūñDne niklūñ
mire TuuTe hue dil hī ke andar hai qayām us kā
mirī uftād kī bhī mere haq meñ us kī rahmat thī
ki girte girte bhī maiñ ne liyā dāman hai thaam us kā
vo ḳhud bhī be-nishāñ hai zaḳhm bhī haiñ be-nishāñ us ke
diyā hai is ne jo charkā nahīñ hai iltiyām us kā
na jā us ke tahammul par ki hai ab Dhab giraft us kī
Dar us kī der-gīrī se ki hai saḳht intiqām us kā
pahunchta hai har ek mai-kash ke aage daur-e-jam us ka
kisi ko tishna-lab rakhta nahin hai lutf-e-am us ka
gawahi de rahi hai us ki yaktai pe zat us ki
dui ke naqsh sab jhuTe hain sachcha ek nam us ka
har ek zarra faza ka dastan us ki sunata hai
har ek jhonka hawa ka aa ke deta hai payam us ka
main us ko kaba-o-but-KHana mein kyun DhunDne niklun
mere TuTe hue dil hi ke andar hai qayam us ka
meri uftad ki bhi mere haq mein us ki rahmat thi
ki girte girte bhi main ne liya daman hai tham us ka
wo KHud bhi be-nishan hai zaKHm bhi hain be-nishan us ke
diya hai is ne jo charka nahin hai iltiyam us ka
na ja us ke tahammul par ki hai ab Dhab giraft us ki
Dar us ki der-giri se ki hai saKHt intiqam us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.