KHamoshi
havā kī sarsarāhaT
un ke aane kī ḳhabar detī
mirā dil mor ban kar nāchtā hai
havā bhī bāñdh kar pairoñ meñ ghuñghrū
baḌī chanchal huī jaatī hai dekho
mire hamrāh vo bhī nāchtī hai
achānak kyā huā aisā
havā ke paañv sākit ho ga.e haiñ
na ghuñghrū haiñ na āvāzeñ bhī us kī
na bal khānā na lahrānā vo us kā
ḳhamoshī kī paḌī chādar sabhī par
hare peḌoñ ne bhī sar Dhāñp Daalā
parindoñ ne paroñ meñ sar chhupāyā
akelī maiñ khulī āñkheñ haiñ merī
kisī ke intizār meñ
rāste kī dūriyāñ nāptī haiñ
hawa ki sarsarahaT
un ke aane ki KHabar deti
mera dil mor ban kar nachta hai
hawa bhi bandh kar pairon mein ghunghru
baDi chanchal hui jati hai dekho
mere hamrah wo bhi nachti hai
achanak kya hua aisa
hawa ke panw sakit ho gae hain
na ghunghru hain na aawazen bhi us ki
na bal khana na lahrana wo us ka
KHamoshi ki paDi chadar sabhi par
hare peDon ne bhi sar Dhanp Dala
parindon ne paron mein sar chhupaya
akeli main khuli aankhen hain meri
kisi ke intizar mein
raste ki duriyan napti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.