khanakti miTTi mein raushni ki
khanaktī miTTī meñ raushnī kī
milāvaToñ se banī huī ho
kiran ho yā'nī safed shaffāf nuur se tum
janī huī ho
ye rang-o-rā'nā.ī aur mohabbat tire liye hai
tamām phūloñ kī ye 'aqīdat tire liye hai
sunā hai tere janam pe janmī ga.ī thī ḳhushbū
guloñ ko tere janam pe tohfa diyā gayā thā
sitāre tere siyāh bāloñ ke vāste haiñ
sunā hai ye chāñd tere māthe pe ek Tiikā lagā huā thā
tujhe banā ke ḳhudā-e-rabb-e-jamāl kitnā hī ḳhush huā thā
har ik farishta kamāl-e-hairat se tere chehre ko dekhtā thā
sunā hai jharne tumhārī āvāz ke ta'āqub meñ phūTte haiñ
sunā hai dariyā tumhāre pairoñ ko chhū ke mīThe bane hue haiñ
maiñ sun rahā huuñ maiñ sochtā huuñ ki tū bhī kyā hai
kisī kī minnat hai yā du'ā hai
guzishta ikkīs saal tum ne kahāñ bitā.e
vo kaun duniyā thī jo tumhāre hasīn qadmoñ kā lams le ke mahak rahī thī
vo koī bhī the magar balā ke nasīb vaale the
maiñ sochtā huuñ ki aane vaale janam pe agle baras na jaane
ye husn terā kahāñ khulegā
vo kaun ḳhush-baḳht shaḳhs hogā
tujhe kahegā
janam mubārak
vo jo bhī hogā ḳhudā salāmat rakhe sabhī ko
ham aise andhe faqīr lamhoñ meñ jī rahe haiñ
aur is ghaḌī tum faqat hamārī ho husn-zādī
ham aise lamhoñ meñ sadiyāñ jiine ke fan meñ māhir
tumheñ tumhāre janam ke din par hasīn ghaḌiyoñ meñ kah rahe haiñ
hamārī āñkhoñ ko dād-e-dīdār dene vaalī hasīn devī
tumheñ mohabbat ke is jazīre pe aane vaalī ghaḌī mubārak
jo tum ko dekheñ jo tum ko chāheñ jo tum ko socheñ
unheñ ye do din kī zindagānī baḌī mubārak
khanakti miTTi mein raushni ki
milawaTon se bani hui ho
kiran ho ya'ni safed shaffaf nur se tum
jani hui ho
ye rang-o-ra'nai aur mohabbat tere liye hai
tamam phulon ki ye 'aqidat tere liye hai
suna hai tere janam pe janmi gai thi KHushbu
gulon ko tere janam pe tohfa diya gaya tha
sitare tere siyah baalon ke waste hain
suna hai ye chand tere mathe pe ek Tika laga hua tha
tujhe bana ke KHuda-e-rabb-e-jamal kitna hi KHush hua tha
har ek farishta kamal-e-hairat se tere chehre ko dekhta tha
suna hai jharne tumhaari aawaz ke ta'aqub mein phuTte hain
suna hai dariya tumhaare pairon ko chhu ke miThe bane hue hain
main sun raha hun main sochta hun ki tu bhi kya hai
kisi ki minnat hai ya du'a hai
guzishta ikkis sal tum ne kahan bitae
wo kaun duniya thi jo tumhaare hasin qadmon ka lams le ke mahak rahi thi
wo koi bhi the magar bala ke nasib wale the
main sochta hun ki aane wale janam pe agle baras na jaane
ye husn tera kahan khulega
wo kaun KHush-baKHt shaKHs hoga
tujhe kahega
janam mubarak
wo jo bhi hoga KHuda salamat rakhe sabhi ko
hum aise andhe faqir lamhon mein ji rahe hain
aur is ghaDi tum faqat hamari ho husn-zadi
hum aise lamhon mein sadiyan jine ke fan mein mahir
tumhein tumhaare janam ke din par hasin ghaDiyon mein kah rahe hain
hamari aankhon ko dad-e-didar dene wali hasin dewi
tumhein mohabbat ke is jazire pe aane wali ghaDi mubarak
jo tum ko dekhen jo tum ko chahen jo tum ko sochen
unhen ye do din ki zindagani baDi mubarak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.