khanDar aur phul
makāñ jal chukā hai
khañDar hai siyāhī hai bujhtī huī raakh kī siskiyāñ haiñ
mirī aañkh pur-nam hai
chup-chāp gum-sum khaḌā huuñ yahāñ par
mire āñsuoñ meñ
tasāvīr haiñ
māzī-o-hāl kī
vaqt kī manziloñ kī
mire zehn meñ dāstāñ hai
zamāne ke banñe bigaḌne kī
tāmīr-o-taḳhrīb kī dhaḌkanoñ kī
mire kaan meñ gūñjtī haiñ vo narm aur shīrīñ sadā.eñ
jinheñ aag ne is makān ke khañDar meñ fanā kar diyā hai
mohabbat kī taqdīs
ma.asūm sham.oñ ke ashkoñ kī garmī
dho.eñ kī taḌaptī huī dhāriyāñ
un kā paiġhām ban kar
fazāoñ meñ shāyad bhaTakne lagī haiñ
mirī aañkh pur-nam hai phir bhī maiñ ḳhush huuñ
mire paas ḳhvāboñ kī ma.asūm ThanDak
irādoñ ke raushan sitāroñ kī narmī
taḳhayyul kī bahtī huī naġhmagī hai
maiñ yādoñ ke malbe pe taḳhlīq kā phuul le kar khaḌā huuñ
makan jal chuka hai
khanDar hai siyahi hai bujhti hui rakh ki siskiyan hain
meri aankh pur-nam hai
chup-chap gum-sum khaDa hun yahan par
mere aansuon mein
tasawir hain
mazi-o-haal ki
waqt ki manzilon ki
mere zehn mein dastan hai
zamane ke banne bigaDne ki
tamir-o-taKHrib ki dhaDkanon ki
mere kan mein gunjti hain wo narm aur shirin sadaen
jinhen aag ne is makan ke khanDar mein fana kar diya hai
mohabbat ki taqdis
masum shamon ke ashkon ki garmi
dhoen ki taDapti hui dhaariyan
un ka paigham ban kar
fazaon mein shayad bhaTakne lagi hain
meri aankh pur-nam hai phir bhi main KHush hun
mere pas KHwabon ki masum ThanDak
iradon ke raushan sitaron ki narmi
taKHayyul ki bahti hui naghmagi hai
main yaadon ke malbe pe taKHliq ka phul le kar khaDa hun
- Book : Lambi Barish (Pg. 36)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.