maiñ khañDaroñ kī zamīñ pe kab se bhaTak rahā huuñ
qadīm rātoñ kī TuuTī qabroñ ke maile katbe
dinoñ kī TuuTī huī salībeñ girī paḌī haiñ
shafaq kī ThanDī chitāoñ se raakh uḌ rahī hai
jagah jagah gurz vaqt ke chuur ho ga.e haiñ
jagah jagah Dher ho ga.ī haiñ aziim sadiyāñ
maiñ khañDaroñ kī zamīñ pe kab se bhaTak rahā huuñ
yahīñ muqaddas, hatheliyoñ se girī hai mehñdī
diyoñ kī TuuTī huī laveñ zañg khā ga.ī haiñ
yahīñ pe māthoñ kī raushnī jal ke bujh ga.ī hai
sapāT chehroñ ke ḳhālī panne khule hue haiñ
hurūf āñkhoñ ke miT chuke haiñ
maiñ khañDaroñ kī zamīñ pe kab se bhaTak rahā huuñ
yahīñ kahīñ zindagī ke ma.anī gire haiñ aur gir ke kho ga.e haiñ
main khanDaron ki zamin pe kab se bhaTak raha hun
qadim raaton ki TuTi qabron ke maile katbe
dinon ki TuTi hui saliben giri paDi hain
shafaq ki ThanDi chitaon se rakh uD rahi hai
jagah jagah gurz waqt ke chur ho gae hain
jagah jagah Dher ho gai hain azim sadiyan
main khanDaron ki zamin pe kab se bhaTak raha hun
yahin muqaddas, hatheliyon se giri hai mehndi
diyon ki TuTi hui lawen zang kha gai hain
yahin pe mathon ki raushni jal ke bujh gai hai
sapaT chehron ke KHali panne khule hue hain
huruf aankhon ke miT chuke hain
main khanDaron ki zamin pe kab se bhaTak raha hun
yahin kahin zindagi ke mani gire hain aur gir ke kho gae hain
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 8)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.