KHarabi
ḳharābī kā āġhāz
kab aur kahāñ se huā
ye batānā hai mushkil
kahāñ zaḳhm khaa.e
kahāñ se hue vaar
ye bhī dikhānā hai mushkil
kahāñ zabt kī dhuup meñ ham bikharte ga.e
aur kahāñ tak koī sabr ham ne sameTā
sunānā hai mushkil
ḳharābī bahut saḳht-jāñ hai
hameñ lag rahā thā ye ham se ulajh kar
kahīñ mar chukī hai
magar ab jo dekhā to ye shahr meñ
shahr ke har mohalle meñ har har galī meñ
dhueñ kī tarah bhar chukī hai
ḳharābī rueñ meñ
ḳhvāboñ meñ, ḳhvāhish meñ
rishtoñ meñ ghir chukī hai
ḳharābī to lagtā hai
ḳhuuñ meñ asar kar chukī hai
ḳharābī kā āġhāz
jab bhī jahāñ se huā ho
ḳharābī ke anjām se ġhāliban
jaañ chhuḌānā hai mushkil
KHarabi ka aaghaz
kab aur kahan se hua
ye batana hai mushkil
kahan zaKHm khae
kahan se hue war
ye bhi dikhana hai mushkil
kahan zabt ki dhup mein hum bikharte gae
aur kahan tak koi sabr hum ne sameTa
sunana hai mushkil
KHarabi bahut saKHt-jaan hai
hamein lag raha tha ye hum se ulajh kar
kahin mar chuki hai
magar ab jo dekha to ye shahr mein
shahr ke har mohalle mein har har gali mein
dhuen ki tarah bhar chuki hai
KHarabi ruen mein
KHwabon mein, KHwahish mein
rishton mein ghir chuki hai
KHarabi to lagta hai
KHun mein asar kar chuki hai
KHarabi ka aaghaz
jab bhi jahan se hua ho
KHarabi ke anjam se ghaaliban
jaan chhuDana hai mushkil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.