KHarabi hai mohabbat mein
ḳharābī hai mohabbat meñ
mohabbat meñ ḳharābī hai
ye qabreñ pāniyoñ meñ ghul rahī haiñ
so un ke ustuḳhvāñ dekho
maiñ majnūñ ko laḌakpan meñ bahut royā
bahut royā maiñ majnūñ ko laḌakpan meñ
ki paanī miTTiyoñ se phūTtā thā aur miTTī ghul rahī thī pāniyoñ meñ
so is ke ustuḳhvāñ dekho
mohabbat raat mujh se kah rahī thī us ke ghar jaanā
ki āñkheñ dhul ga.ī haiñ aur chehra dhuup detā hai
gahan kī maar ho us aañkh par jo is ghaTā meñ dhuup dekhe
mohabbat raat mujh se kah rahī thī
us ke ghar jaanā
mohabbat kī ḳharābī hai
ye qabreñ pāniyoñ meñ ghul rahī haiñ
KHarabi hai mohabbat mein
mohabbat mein KHarabi hai
ye qabren paniyon mein ghul rahi hain
so un ke ustuKHwan dekho
main majnun ko laDakpan mein bahut roya
bahut roya main majnun ko laDakpan mein
ki pani miTTiyon se phuTta tha aur miTTi ghul rahi thi paniyon mein
so is ke ustuKHwan dekho
mohabbat raat mujh se kah rahi thi us ke ghar jaana
ki aankhen dhul gai hain aur chehra dhup deta hai
gahan ki mar ho us aankh par jo is ghaTa mein dhup dekhe
mohabbat raat mujh se kah rahi thi
us ke ghar jaana
mohabbat ki KHarabi hai
ye qabren paniyon mein ghul rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.