KHarbuza
ek achchhī ġhizā hai ḳharbūza
ek sastī davā hai ḳharbūza
phal hai bachcho ye garm mausam kā
jab ki is kā mizāj hai ThanDā
log is ko ḳharīd laate haiñ
aur khā kar sukūn paate haiñ
biij bhī is ke kaam aate haiñ
ved in se davā banāte haiñ
ye ḳhudā kī hai ik baḌī ne.amat
fā.ide-mand aur kam qīmat
ek achchhi ghiza hai KHarbuza
ek sasti dawa hai KHarbuza
phal hai bachcho ye garm mausam ka
jab ki is ka mizaj hai ThanDa
log is ko KHarid late hain
aur kha kar sukun pate hain
bij bhi is ke kaam aate hain
wed in se dawa banate hain
ye KHuda ki hai ek baDi neamat
faide-mand aur kam qimat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.