KHargosh ka gham
harīf kaun thā ġhalīz bad-numā sā jānvar
vo be-ḳhabar
jo reñgtā huā chalā
jo reñgtā chalā gayā
na jaane kis jahān se tumhārī rah meñ aa gayā
usuul ban ke zindagī ke āsmāñ pe chhā gayā
tumheñ ye ġham satā rahā hai aaj bhī
ġhalat ghaḌī meñ niiñd tum ko aa ga.ī
sitam ajiib Dhā ga.ī
mazāq hī mazāq meñ
zamāne-bhar ke sāmne tumhārā sar jhukā ga.ī
yaqīn se farār tak
hazār marhale tumhāre zehn se guzar ga.e
dil-o-nazar ko vasvasoñ se bhar ga.e
shikast kī ḳhalish baḌī shadīd thī
kisī tarah na miT sakī
hurūf-e-pur-ḳhatar se faisloñ ko toltī rahī
anā ke muztarib lahū meñ zahr gholtī rahī
harif kaun tha ghaliz bad-numa sa jaanwar
wo be-KHabar
jo rengta hua chala
jo rengta chala gaya
na jaane kis jahan se tumhaari rah mein aa gaya
usul ban ke zindagi ke aasman pe chha gaya
tumhein ye gham sata raha hai aaj bhi
ghalat ghaDi mein nind tum ko aa gai
sitam ajib Dha gai
mazaq hi mazaq mein
zamane-bhar ke samne tumhaara sar jhuka gai
yaqin se farar tak
hazar marhale tumhaare zehn se guzar gae
dil-o-nazar ko waswason se bhar gae
shikast ki KHalish baDi shadid thi
kisi tarah na miT saki
huruf-e-pur-KHatar se faislon ko tolti rahi
ana ke muztarib lahu mein zahr gholti rahi
- Book : Lambi Barish (Pg. 71)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.