KHargosh ki sarguzisht
raqs
shaam khaḌī hai
bhūrī jhāḌiyoñ,
piilī ghāsoñ ke ḳhemoñ se bāhar niklo
narm havā.eñ bāloñ kī jhālar se guzartī
lambe lambe kānoñ meñ ḳhargoshī kartī haiñ
surḳh koñpleñ
sabz pattiyāñ
saañp chhatriyāñ...
jañgal meñ godām khulā hai pāgal
apne bekal nathnoñ meñ
is ḳhush-bū kā chhallā Daal ke raqs karo
har ḳhatre ko chakma do
chor chaTānoñ ke nīche
sau darvāze haiñ
kīsar phūloñ ke bistar haiñ
dhuum machāne ko saarā maidān paḌā hai
maut
aur tum apne shabistāñ chhoḌ kar
is bayābāñ ke añdhere rāste par
ḳhuun meñ lat-pat paḌe ho
is kī āḳhir kyā zarūrat thī
vahāñ par tum jahāñ ke hukmarāñ the
kyā nahīñ thaa?
ḳhvāb kī dīvār kyūñ-kar paar karnā chāhte the
is tajassus meñ kashish kaisī hai
nā-mālūm ko tasḳhīr kī tamannā kis liye hai
is purānī ārzū-mandī meñ kyā hai
is ḳhayābāñ ke aqab meñ
vo jo pur-asrār duniyā.eñ basī haiñ
vo hameñ kyuuñ khīñchtī haiñ?
raqs
sham khaDi hai
bhuri jhaDiyon,
pili ghason ke KHemon se bahar niklo
narm hawaen baalon ki jhaalar se guzarti
lambe lambe kanon mein KHargoshi karti hain
surKH konplen
sabz pattiyan
sanp chhatriyan
jangal mein godam khula hai pagal
apne bekal nathnon mein
is KHush-bu ka chhalla Dal ke raqs karo
har KHatre ko chakma do
chor chaTanon ke niche
sau darwaze hain
kisar phulon ke bistar hain
dhum machane ko sara maidan paDa hai
maut
aur tum apne shabistan chhoD kar
is bayaban ke andhere raste par
KHun mein lat-pat paDe ho
is ki aaKHir kya zarurat thi
wahan par tum jahan ke hukmaran the
kya nahin tha?
KHwab ki diwar kyun-kar par karna chahte the
is tajassus mein kashish kaisi hai
na-malum ko tasKHir ki tamanna kis liye hai
is purani aarzu-mandi mein kya hai
is KHayaban ke aqab mein
wo jo pur-asrar duniyaen basi hain
wo hamein kyun khinchti hain?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.